page contents Poetry With Pic: Urdu Poetry
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Thursday 27 November 2014

Wo Mujay Janta Hai Bas Itna Kafi Hai

Same 1 Speacial......................
Suno Khwahish Nai Mujay Mash'hoor Hone Ki
Wo Mujay Janta Hai Bas Itna Kafi Hai

Monday 10 November 2014

Sunday 9 November 2014

Uth kr to aa gy teri bazm sy magr

Uth kr to aa gy teri bazm sy magr
Kuch dil hi janta hai k kis dil sy ay hum.

Photo: Uth kr to aa gy teri bazm sy magr
Kuch dil hi janta hai k kis dil sy ay hum.

Suno.... Kaise parhtay hain? Janaza uska....

Suno....
Kaise parhtay hain?
Janaza uska....

Woh dil jo seenay mein hi mar jata hai.....

Photo: Suno....
Kaise parhtay hain? 
Janaza uska....

Woh dil jo seenay mein hi mar jata hai.....

Haath Rakh Kar Mere Dil Par Wo Kehne Lage ___

Haath Rakh Kar Mere Dil Par Wo Kehne Lage ___
Dard Kha Hota Hai kab Hota Hai kya Ab Hota Hai ___
maine Hans Ke Kha Ab Nahi Tab Hota Hai ___
Jab Ye Hath Mere Dil Se Alag Hota Hai..

Saturday 8 November 2014

Mere Wajod Me Kash Tu utar Jaye

Mere Wajod Me Kash Tu utar Jaye
Mai Dekhu Aaina Or Tu Nazar Aye
Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye
Ye Zindagi Tujhe Yuhi Dekhte Hue Guzar
Jaye...!! 
Photo: Mere Wajod Me Kash Tu utar Jaye
Mai Dekhu Aaina Or Tu Nazar Aye
Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye
Ye Zindagi Tujhe Yuhi Dekhte Hue Guzar
Jaye...!!   <3
pwince

Thursday 16 October 2014

Ladka aur Ladki, ek doosre ko kyon nahi samjh paate?

Ladka aur Ladki,
ek doosre ko kyon nahi samjh paate?
.
.
Kyon ki upar wale ne ladke ko achcha dimaag
diya hai
Aur ladki ko achaha dil !
..
Magar ladki dimaag se sochti hai
aur ladke dil se..............
.
.
Its true !

Tujhey akelay parrhon, Koi hum-sabaq na rahey

Tujhey akelay parrhon, Koi hum-sabaq na rahey
Main chahta houn k tujh par kisi ka haq na rahey.... 

Wednesday 8 October 2014

Baarish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye

Baarish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye
Mausam Ke Haath Bhig Ke Saffaak Ho Gaye

Baadal Ko Kya Khabar Ki Baarish Ki Chaah Men
Kitne Buland-O-Baalaa Shajar Khaak Ho Gaye

Jugnoo Ko Din Ke Vaqt Pakadne Ki Zid Karen
Bachche Hamaare Ahad Ke Chaalaak Ho Gaye

Laharaa Rahi Hai Barf Ki Chaadar Hataa Ke Ghaas
Sooraj Ki Shah Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye

Sooraj Dimaagh Log Bhi Iblaagh-E-Fikr Men
Zulf-E-Shab-E-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye

Jab Bhi Gharib-E-Shahar Se Kuchh Guftagoo Hui
Lahaje Havaa-E-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye

Saahil Pe Jitne Aab-Guzidaa The Sab Ke Sab
Dariyaa Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye

Sunday 5 October 2014

چارہ گر میں تری خاطر سے کہے دیتا ہوں

چارہ گر میں تری خاطر سے کہے دیتا ہوں

درد ہوتا ہے مگر پہلے سے کم ہوتا ہے.

وه حرفِ دعا کہاں سے لاؤں؟

وه حرفِ دعا کہاں سے لاؤں؟

جو تجھے صرف میرا کر دے.

Saturday 4 October 2014

Tumhare Saath Ka Jab Se Mila Hai Saath Mujhe

Tumhare Saath Ka Jab Se Mila Hai Saath Mujhe
Na Jaane Kyon Mujhe Khud Se Muhabbat Hone Lagi Hai

Photo: Tumhare Saath Ka Jab Se Mila Hai Saath Mujhe
Na Jaane Kyon Mujhe Khud Se Muhabbat Hone Lagi Hai
pwince

Chhupati Hain Woh Chehre Se Be'panah Mohabbat,,,,

Chhupati Hain Woh Chehre
Se Be'panah Mohabbat,,,,

Hum Dekh Ke Mehendi
Unke Haathon ki..,,,

Mohabbat Ki Intihaan
Jaan Lete Hain...!!! 

Photo: Chhupati Hain Woh Chehre
Se Be'panah Mohabbat,,,,

Hum Dekh Ke Mehendi
Unke Haathon ki..,,,

Mohabbat Ki Intihaan
Jaan Lete Hain...!!!   <3
pwince

Thursday 2 October 2014

Zara Un Ki Shokhi To Dekhiye Liye Zulf-E-Kham-Shuda Haath Mein

Zara Un Ki Shokhi To Dekhiye Liye Zulf-E-Kham-Shuda Haath Mein

Mere Peechhe Aaye Dabe-Dabe Mujhe Saanp Kah Ke Daraa Diyaa
 
Photo: Zara Un Ki Shokhi To Dekhiye Liye Zulf-E-Kham-Shuda Haath Mein

Mere Peechhe Aaye Dabe-Dabe Mujhe Saanp Kah Ke Daraa Diyaa

Datte hain apni apni zid pe dono,

Teri muthi mein meri zindagi hai,
Meri aankhon mein teri roshni hai,

Sar-e-shaam firaaqe jane janaa,
Ke jese rooh sholon mein jali hai,

Tumhare sath bhi thi be-sakooni,
Tumhare baad bhi be-kali hai,

Datte hain apni apni zid pe dono,
Anaa raah mein deewaar si khari hai,

Mohabbat ki hai bas itni kahani,
Safar asaan hai, Manzil karri hai..
Photo: Teri muthi mein meri zindagi hai,
Meri aankhon mein teri roshni hai,

Sar-e-shaam firaaqe jane janaa,
Ke jese rooh sholon mein jali hai,

Tumhare sath bhi thi be-sakooni,
Tumhare baad bhi be-kali hai,

Datte hain apni apni zid pe dono,
Anaa raah mein deewaar si khari hai,

Mohabbat ki hai bas itni kahani,
Safar asaan hai, Manzil karri hai..

Ghazal Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,

Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Jab Woh Khiltey Gulaab Jaisa Tha,,
Uss Ki Palkon Sey Neend Channti Thi,,
Uss Ka Lehja Sharaab Jaisa Tha,,
Uss Ki Zulfon Sey Bheegti Thi Ghatta,,
Uss Ka Rukh Mahtaab Jaisa Tha,,
Loug Padhtey Thy Khad-o-Khaal Uss Ke,,
Woh Adab Ki Kitaab Jaisa Tha,,
Bolta Tha Zabaan Khushboo Ki,,
Loug Sunntey Thy Dhadhkano Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Saari Aankhein Thi Aainey Uss Ke,,
Saarey Chehr'on Mai Inthikhaab Tha Woh,,
Sub Se Ghul Mil Ke Bhi Ajnabi Rehna,,
Ek Duniya Numaa Saraab Tha Woh,,
Khuwaab Yeh Ke Woh Haqeeqat Tha,,
Hai Haqeeqat Ke Koi Khuwaab Tha Woh,,
Dil Ki Dharti Pey Aasmaan Ki Tarah,,
Soorat-e-Saaya-o-Shab Tha Woh,,
Apni Neendein Uss Ki Nazar Hui,,
Main Ney Paaya Tha Ratt'Jaggo Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,
Jab Woh Hans Hans Ke Baat Karta Tha,,
Dil Ke Khaimey Mai Raat Karta Tha,,
Rung Padhtey Thy Aanchal'on Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Yeh Magar Dair Ki Kahaani Hai,,
Yeh Magar Dard Ka Fasaana Hai,,
Uss Ke Mere Milaap Mai Haayil,,
Ab Tou Saddiyon Bhara Zamaana Hai,,
Ab Tou Yoon Hai Ke Haal Apna Bhi,,
Dasht-e-Hijraan Ki Shaam Jaisa Hai,,
Kya Khabar Inn Din'on Woh Kaisa Hai,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey...!!
 —
Photo: Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,

Dil Mein Basaya Tha Jissey Mainey Woh Dilruba

Woh Mujh Ko Mil Gaya Main Ussey Khojta Raha
Uss Mein Hi Ussi Shaks Ko Dhoondta Raha

Dasht-E-Dil Mein Yaadon Ki Baarishein Honey Say
Banjar Zameen Say Bhi Sabza Phoot-ta Raha

Aawaazon Ka Ik Hujoom Aas Paas Tha Magar
Sannata Mairey Wajood Mein Sada Bolta Raha

Woh To Bicharr Ke Duniya Ki Bheerr Mein Gum Ho Gaya
Aur Ye Main Hoon Ke Umer Bhar Ussey Sochta Raha

Gar Mil Gaya Kabhi Woh To Poochoon Ga Ye Sawal
Kyun Mohabbat Ikk Bharam Hai Jo Sada Toot-ta Raha

Dil Mein Basaya Tha Jissey Mainey Woh Dilruba
Ban Ke Rahzan Qadam Qadam Mujhi Ko Loot-ta Raha….!!
 
Photo: Woh Mujh Ko Mil Gaya Main Ussey Khojta Raha
Uss Mein Hi Ussi Shaks Ko Dhoondta Raha

Dasht-E-Dil Mein Yaadon Ki Baarishein Honey Say
Banjar Zameen Say Bhi Sabza Phoot-ta Raha

Aawaazon Ka Ik Hujoom Aas Paas Tha Magar
Sannata Mairey Wajood Mein Sada Bolta Raha

Woh To Bicharr Ke Duniya Ki Bheerr Mein Gum Ho Gaya
Aur Ye Main Hoon Ke Umer Bhar Ussey Sochta Raha

Gar Mil Gaya Kabhi Woh To Poochoon Ga Ye Sawal
Kyun Mohabbat Ikk Bharam Hai Jo Sada Toot-ta Raha

Dil Mein Basaya Tha Jissey Mainey Woh Dilruba
Ban Ke Rahzan Qadam Qadam Mujhi Ko Loot-ta Raha….!!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments